Main phir bhi tumko chahungi,
Main phir bhi tumko chahungi.
Iss chaahat mein mar jaungi,
Main phir bhi tumko chahungi.
Bhool na paau main unko kabhi,
Pal jo tumhare sang beete the,
Pyar tha hum mein itna kabhi,
Ek dooje ke liye hum jeete the.
Pyar mein humne khayi kasme,
Todh di sab duniya ki rasme,
Fir kyu ye saath chhoot gya,
Kyu rishta humara toot gya,
Bichhad gye kyu hum dono,
Ab tum bin kaha mai jaungi…
Ooooooo…
Main fir bhi tumko chahungi,
Main fir bhi tumko chahungi.
Iss chaahat mein mar jaungi,
Main fir bhi tumko chahungi.
Waqt chahe koi bhi rahe,
Har pal tumhe main yaad karoon,
Aa jaao fir hum mil jaayein,
Tumse yahi fariyad karoon.
Aao bhar do ye sooni baahein,
Zaraa sun toh lo dil ki aahein,
Aao mita dein ye doori,
Tumse hi hai ye zindagi poori,
Tum mano ya na mano magar,
Main tum bin jee na paaungi…
Ooooooo….
Main phir bhi tumko chahungi,
Main phir bhi tumko chahungi.
Iss chaahat mein mar jaungi,
Main phir bhi tumko chahungi.





